Sunday, April 25, 2010

Kabhi Hans kar

Kabi Hans Kar Kabi Ansoo Baha Kar Daykh Layta Hon
Main Har chahry ko Ainna Bana Kar Daykh Layta Hon

Bohat Baychan Kar Dayti Hay Jab Tanhiyya Dil Ki
Daro Diwar Per Shaklay Bana Kar Daykh Layta Hon

Chupata Hay Bohat Muj Ko Mayra Saya Magar Phir Be
Main Kud Ko Roshni Say Dour Ja Kar Daykh Layta Hon

NAzar Ata Nahi Jab Koi Haraf Rokh-e-Alam per
May Tayra Nam Likh Kar Aur Mita Kar Daykh Layta Hon

Jisay Daykha Nahi,Daykh Kar Mayri Ankhoo Nay
Main Us Ko Apnay Khawaboo May Saja Kar Daykh Layta hon

Milta Nahi Jab Kabi Apni Hasti Ka Nishan Muj Ko
Hawa Kay Samnay, Shammay Jala Kar Daykh Layta Hon

Juda Karti Nahi Muj Say, Mujay , BAhti Hoi Lahray
May Apna Aks Pani May Baha Kar Daykh Layta hon

Jisay Daykha Nahi, Rota Hon Us ki Yad May Shab Main
Jisay Paya Nahi Us Ko Gawa Kar Daykh Layta Hon

Kabi Karna Ho Andaza Jab Apnay Dard Ka Muj ko
Main Us Kay Dard Ko Dil May Basa Kar Daykh Layta Hon

Nahi Layti Jab, Shakhain Haray Mosam Kay Payrahin
Koi Touta Huwa Pata Uta Kar Daykh Layta Hon.


Meri Ankh

Tum meri ankh k tevar na bhula paoge..
ankahii bat ko samjho gay to yaad aon ga

ham ne Khushiyon ki tarhan dukh bi ikathay dekhe..
safaah-e-zeest ko palto gay to yad aon ga..

isi andaz main hote they muKhatib muj se..
Khat kisi or ko likho gay to yaad aon ga..

sard raton k mehaktay huay sanaton main..
jab kisi phool ko choomo gay to yaad aon ga..

ub tere ashk main honton se chura laita hun..
hath se khud inhay pooncho gay to yad aon ga..

shaal pehanaye ga ub kon december main tumhain..
baarishon main kbi bheego gay to yad aon ga..

aaj tum mehfil-e-yarran pe ho maghroor bhut..
jab kabi toot k bikhro gay to yaad aon ga..

haadsay ayain gay jevan main to tum ho k nidhaal..!
kisi divaar ko thaamo gay to yaad aon ga..

is main shamil hai meri bakht ki taareeqi b..
tum syah rang pehno gay to yad aon ga.

ہمارا دل سویرے کا سنہرا جام ہو جائے
چراغون کی طرح آنکھیں جلیں جب شام ہو جائے

کبھی تو آسماں سے چاند اترے جام ہو جائے
تمہارے نام کی ایک خوب صورت شام ہو جائے

عجب حالات تھے یوں دل کا سودا ہو گیا آخر
محبت کی حویلی جس طرح نیلام ہو جائے

سمندر کے سفر میں اس طرح آواز دے ہم کو
ہوائیں تیز ہو ن اور کشتیوں میں شام ہو جائے

مجھے معلوم ہے اس کا ٹھکانہ پھر کہاں ہو گا
پرندہ آسماں چھونے میں جب ناکام ہو جائے

اجالے اپنی یادون کے ہمارے ساتھ رہنے دو
نہ جانے کسی گلی میں زندگی کی شام ہو جائے

0 comments:

Post a Comment