Seekha Hai Jab Se Mene Falsafa-e-Zindagi,
Kese Kahon K UsKa Rawayya Badal Gaya,
Jis Ne Kaha Tha Saath Chalenge Tamam Umar,
Badla Hawa Ne Rukh To Waada Badal Gaya,
UnKo Tha Ye Gumaan Wo Dil Haar Jayenge,
Shayad Isi Liye Unka IRADA Badal Gaya,
Hairat Hai ''Qais'' K Muddat QALEEL Main,
Wo Shaks MERI SOCH Se Bhi ZIYADA Badal Gaya...!!!
Hansti Gaati
Hansti Gaati iss duniya main
Pehley din say aik safar hay
Jiss main Loug bichar sitaaron jesay
Miltay aur Bichar Jatey hain!
Jin peron ki chaoon hay sab per
Esay pair laganey waley
Piyaarey loug guzar jaatey hain
Aur safar jaari rehta hay
Raah tamam nahi hoti hay
Sacha Ishq to esa din hay
Jiss ki shaam nahi hoti hay
Daman Khaali bhi rehtey hain
Phoolon say bhar bhi jaatey hain
Aankhain pathar Hojatin hain
Puray Khuwab nahi hotey hain
Purey Khuwab nahi hotey hain!!
Rehte hein saath saath mein aur meri tanhayi
Kerte hein raaz ki baat mein aur meri tanhayi
Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mein
Karte hein basar raat mein aur meri tanhayi
Saanson ka kia bharosa kab cho0r jain saath
Lakin rahen gey saath mein aur meri tanhayi
Aayein na tumhe yaad kabhi bhool ker bhi hum
Karte hein tumhe yaad mein aur meri tanhayi
Aa ke paas kyun door ho gaye hum se
Rarte hein teri talaash mein, mein aur meri tanhayi
Tum ko rakhein ge saath zeenat bana key ghar ki
Reh jain phir na tanha mein aur meri tanhayi
0 comments:
Post a Comment