Sunday, April 25, 2010

Suno...!

kaisey kahen tum ko,
tumharey bin adhoorey hain,

na koi payas he baqi
na koi dard utha he,

haan....!

magar ahsas he baqi,
tumharey bin adhoorey hain,

koi asia lafaz hota jo
zuban se hum ada kartey,
tumharey dil pe ja girta,

dukh se kaanp uthi rooh,

tarrap ke tum bhi yeh kehtey,
tumharey bin adhoorey hain....!!!


Bicharh

Hum Un Se Bicharh Kar Jeeny To Lagay Hain Lekin... Ghani Phir Dil k Dharakny Ki Awaaaz Nahi Aai... !!!!

Waadon

"Saarey waadon ko bhula sakta hun,
lekin rehne do..!

Main tumhein chor k ja sakta hun,
lekin rehne do..!

Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz,
faisla mein bhi suna sakti hun,
lekin rehne do..!

Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali,
us per main muskura b sakta hun,
lekin rehne do..!

Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday,
main tumhein yaad dila sakta hun,
lekin rehne do."

Haath

Haath uthe hain magar lab pe duaa koii nahin...
Kii ibaadat bhii vo jis ki jazaa koii nahin...

Yeh bhii waqt aanaa thaa ab to gosh har aawaaz hai...
Aur mere Barbaad-E-Dil mein sadaa koii nahin...

Aa ke ab tasliim kar lein tuu nahin to main sahii...
Kaun maanegaa ke ham mein bewafaa koii nahin..

Waqt ne Woh Khaak udaayi hai ke dil ke dasht se....
Qaafile guzare hain phir bhii Naqsh-E-Paa koii nahin....

Khud ko yun mahasuur kar baithaa huun apnii zaat mein....
Manzilein chaaron taraf hai raastaa koii nahin.....

Kaise raaston se chale aur kis jagah pahunche '
Yeh Hujuum-E-Dostaan thaa saath yeh koii nahin....!!!


0 comments:

Post a Comment