Sunday, April 25, 2010

Umar bhar

Umar bhar likhte rahe phir bhi warq saAda raha..
janey kya alfaz thay jo hum se thareer na hoye...!!!


Dewaar Bano

Tum Dewaar Bano Hum Dar Ban Jayen,

Aao Dono Mil K Ek Ghar Ban Jayen,

Shab Bhar Hum Par Itni Wasal Ki Barish Ho,

Din Nikley To Hum Kal Ban Jayen,

Aisi Nazron Se Na Dekho Hum Ko,

Jin Pairon Pe Khare Hen Pathar Ban Jayen,

Aaj Ki Shab Hum Jagte Hen Tum So Jao,

Tum Araam Karo Hum Bistar Ban Jayen,

Ek Shab Tum Bhi Hum Se Aao Milne,

Ek Shab Hum Bhi Hamsafar Ban Jayen...!!!

"BREATH"
*FAKHAR*


Yaad Hai

Mujhy ajj bhi yaad hai
wo serdiyoun ki shaam,jab us nay Mera Haath pakra
or meri ankhon me dekh ker kaha,Kay tumhary haath bohot garam hain
or yeh wafadar logo ki nishani hoti hai,Mai bohot khush tha, itna khush tha kay
yeh bhi bhool gaya kay us shaam
Us
kay haath kitny sard thay.

Khwabon

Tootay hue khwabon mein haqeeqat dhoondta hun,
pathar k dilon mein muhabbat dhoondta hun,
nadam hun mein ab tak yeh bhi nahi samjha,
bejaan buttton mein ibaadat dhoondta hun,
mere jazbaaton ki qeemat yahan kuch bhi nahi,
be-emaani k baazaron mein sharafat dhoondta hun,
is ajnabi duniya mein koi b apna nahi,
gheron ki aankho m...ein apni soorat dhoondta hun,
umeed kitni pyar ki bus yehi bhool thi meri,
girte hue ashkon mein apni hasrat dhoondta hun..........

0 comments:

Post a Comment