Wo ishq jo hum se rooth gaya, ab uss ka haal bataaein kya
koi mehr nahin koi qehr nahin, phir sachha shayr sunaaein kya
Ak hijr jo hum ko laahaq he, ta dayr usay dohraaein kya
wo zehr to dil mein utaar liya, phir uss ke naaz uthaaein kya
Ak aag ghame-e-tanhaai ki, jo saare badan mein phel gai
jub jism hi saara jalta ho, phir daaman-e-dil ko bachaaein kya
Hum naghma-saraa kuch ghazlon ke, hum soorat-gar kuch khaabon ke
be-jazba-e-shauq sunaaein kya, koi khaab na ho to bataaein kya
Koi mehr nahin koi qehr nahin, phir sachha shayr sunaaein kya
wo ishq jo hum se rooth gaya, ab uss ka haal bataaein kya.
Agar kabhi mairee yaad aye
tu chand ratoon ki naram dillgeer roshni main
kise sitaray ko dekh layna
agar wo naqal-e-falak say uoor ker tumharay qadmoon main a giray tu
yee jaan layna, wo isteaar thaa mairay dill ka
agar na ayee...
magar ye mumkin hi kiss terhan hay k tum kise per nigha daloo
tu is ki deewar-e-jaan na tootay
wo apni hasti na bhool jayee
agar kabhi mairee yaad ayee
gureez kerti hawa ki lehroon pay hath rekhna
main khoshbo,oon main tumhain miloon gaa
mujhay gulaboon ki pattiyoon main talash karna
main oos k qatroon k aienoo main tumhain miloon gaa
agar sitaroon main, oos k qatroon main, khoshbo,oon main,na paoo mujko
tu apnay qadmoon main dekh laynaa
main gard hoti moosafatoon main tumhain miloon gaa
kahin pay roshan chirag dekhoo tu jaan layna
k hir patangay k sath main bhi bhikher chooka hoon
tum apnay hatoon say in patangoon ki khaak derya main daal dayna
main khaak ban ker samandaroon main safar karoon gaa
kise na dekhay howay jaziray pay ruk k tum ko sadaian doongaa
samandaroon k safar pay nikloo tu us jaziray per bhi utherna
0 comments:
Post a Comment