meri zindagi main bas ik kitaab hai ik charagh hai
ik khawab hai aur tum ho
ye kitab o khwab ke darmyan jo manzilen hain,main chata tha
tumhare saath basr karoon
yehi kul asasa e zindagi hai isi ko zaad e safar karoon
kisi aur simt nazar karoon to meri duaa main asar na ho
mere dil ke jada e khush khabar pe ba juz tumhare kabhi ksi ka guzar na ho
magar is tarha ke tumhain bhi iski khabar na ho
isi ehtiat main sari umr guzar gai
wo jo arzoo thi kitab o khawab ke saath tum bhi shareek ho wohi mar gai
isi kashmakash ne kaai sawal uthaaye hain
wo sawal jinka jawab na meri kitab main hai na khwab main
mere dil ke jada e khush khabar ke rafeeq
tum hi bataao phir ke ye karobar e hayat kiske hisab main
meri zindagi main bas ik kitab ik charagh hai
ik khwab hai aur tum!!!
Gehri Gehri Aankhon Wali
Uljhi Uljhi Pagal Larki
Tu Yeh Kis Ki Dhun Mein Aakhir
Lambi Lambi Palkon Ooper
Motay Motay Aansoo Le Kar
Sundar Komal Pairoon Neechay,Jalti Balti Dharti De Kar
Kariya Kariya Bhag Rahi Hay,Kis Ki Khatir Jaag Rahi Hay
Tujh Ko Yeh Maloom Nahi Kya
Tujh Jaisi Na Janay Kitni Gehri Gehri Aankhon Wali
Kaisi Kaisi Sundarta k Dhair Khazanay Le Kar Nikleen
Lekin Phir b Iss Rastay Se
Manzil Tak Pahunchanay Wala
Har Ik Saathi Jhoota Nikla
Ek Ek Aasha Dushman Nikli,Ek Ek Sapna Dhoka Nikla
Sacha Har Ik Khadsha Nikla
Dekho...Tum b Janay Do Ab
Nadani Ka Jitna Rasta Tum Ne Ab Tak Tay Kar Dala
Uss Rastay Se Ghar Ki Manzil
Ab b Itni Door Nahi Hay
Ab b Wapis Ja Sakti Ho,Sab Kuch Wapis Pa Sakti Ho
Ab b Gar Tum Nadani k Iss Rastay Se Ghar Na Palteen
To Phir Ek Din Aisa Hoga
Sundar Aankhein Mar Jayein Gi
Palkein Khoon Se Bhar Jayein Gi
Jaan Laboon Par Aa Jaye Gi
Tan k Saray Ujlay Pan Ko Ghor Musafat Kha Jaye Gi
Uss Din Phir Tum Chillao Gi,Lekin Kuch Na Hasil Ho Ga
Saray Lams k Bhookay Saathi,Punkh Laga Kar Urr Jayein Ge
Tum Rastay Mein Reh Jao Gi
Rasta b Vo Jis k Peechay
Dar Ki Gehri DalDal Hogi.Aagay Gham Ka Jungle Hoga
Sir Par Gehra Badal Hoga
Uss Din k Aanay Se Pehlay,Uss Din Tak Janay Se Pehlay
Waqt Milay To Dhalnay Walay
Har Lamhay Ki Zaat Pe Socho
Duniya Ki Bareek Nazar Se,Duniya Ki Har Baat Pe Socho
Jazboon Ki Aukaat Hi Kya Hay
Jazboon Ki Aukaat pe Socho
Vo Dekho...Ek Saaye Par Phir Veeranay Mein Bijli Karki..
Gehri Gehri Aankhon Wali Uljhi Uljhi Pagal Larki...!!!
0 comments:
Post a Comment