Monday, March 15, 2010


Us nay kaha


Us nay kaha kon ho Tum?
Main nay kaha Hasrat Tumari
Us nay kaha Taktey ho kya?
Main nay kaha Surat Tumhari
Us ne kaha kartey ho kya?
Main nay kaha Pooja Tumhari
Us nay kaha Kaafir ho kya?
Main nay kaha aisa hi sahi
Us nay kaha chatey ho kya?
Main nay kaha Mohabbat Tumhari
Us nay kaha Pachtaoge,
Main nay kaha KismatHamari
Us nay Kaha Married hoon mai.
Main nay kaha Sorry BAJI

Maosam

Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho,

Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,
Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,
Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,
Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzer Jate Ho,
Lakh mosam ki tarah rung badalte raho,
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho..




: yehi saza hai meri...!!!

Falak pe jitne sitare hai wo bhi sharmaye..
O dene waale muzhe itne zindagi de de..
Yehi saza hai meri..Mout hi na aaye muzhe..
Kisi ko Chain mile..Muzhko bekali de de..!!!!

Ghum uthane ke liye main to jeeye jaaunga..
Saans ki lay pe tera naam liye jaaunga...!!!
Haaye tune muzhe ulfat ke siva kuch na diya..
Aur maine tuzhe nafrat ke siva kuch na diya..
Tuzhse sharminda hoon main Aye meri wafa ki devi..
tera mujrim hoon ..Musibat ke siva kuch na diya..!!!!
Tu khayaaalon me mere ab bhi chali aati hai...
Apne palkon pe un ashqon ka janaza leker..
Tune neende karee qurbaan meri raahon me..
Main to ulzhaa raha apnihi ulzhanona takaza leker..!!!!
 


Un sab ki nazar*!*!
TanhaaioN maiN abhi bhi
Zinda hai jazba-e-insaaN
Bhar jaataa saaNs jo
Dum torti sadaaqat maiN
Aur NighaaiN umeed ki
Phir say khwaab buna kati haiN
Tujh sa jab bhi koi
Mil jaataa hai raah-e-ziNdagi pay
Phir say sar uthaanay lagti haiN
Raakh hoti si bhaghaawataiN
Woh dard jisay sula aayaa tha maiN chupchaap
Woh dard aaj phir kasmasaataa hai
Aur nasl-e-Adam ko bhi to
Azal say har baar
Milta raha hai kuch isi wajhah say
phir say jeenay ka maqsad





 

0 comments:

Post a Comment