Monday, March 15, 2010

Mujhe har waqt tera hi khayaal rehta hai...!!!

Mujhe har waqt tera hi khayaal rehta hai
Tu aye naa aye dil ko intezaar rehta hai
Main tujh se nafrat bhi karna chahu magar,
Dil mein har dam tera hi pyaar rehta hai
Dil mein teri aas,teri pyaas hai
Isiliye to dil baiqaraar rehta hai
Main kisi aur se mohabbat karne lagu
Dil mein is baat ke liye inkaar rehta hai
Dua hai tera chehra jald hi dikh jaye
Dil auro ke chehro se baizaar rehta hai
Main tujhe yaad karti rehti hu
Dil mein teri yaado ka bazaar rehta hai
Tu mujhe milega zaroor...
Yehi khayaal najaane kyu har baar rehta hai
Duniya tujhe bewafaa samajhti hai
Isi liye duniya se mera taqraar rehta hai
Meri aankho mein teri tasveer ho jaise
Aankho mein har dam tera khumaar rehta hai.


Rashid Sheikh sent a message

Ab Dard-e-Dil Kisi Ko Bataate Nahi Hain..........

Dillagi Karke Dil Ko Dukhaate Nahi Hain,
Dil Jalo Ke Dil Ko Jalaate Nahi Hain...

Dil Mohabbat Mein TootTe Hain Jinke,
Dil Phir Woh Kisi Se Lagaate Nahi Hain...

Humne Bhi Seekhii Thi Aankho Ki Bhaasha,
Suna Tha Ishq Mein Lab Bol Paate Nahi Hain..

Humko Teer-e-Nazro Ne Sataayaa Aise,
Bhool Kar Bhi Nazre Ladaate Nahi Hain...

Gham-e-Furqat Ki Aag Mein Jalne Waale,
Har Ghadi Aansuo Ko Bahaate Nahi Hain...

Ho Gayi Ho Jinko Andhero Ki Aadat,
Woh Phir Roshni Mein Jaate Nahi Hain...

Dil Ki Bebasi Ka Mazaak Na Banaaye Koi,
Zakhm-e-Jigar Sab Ko Dikhaate Nahi Hain...

Yaha Sunte Hain Log Maze Le Le Kar,
Ab Dard-e-Dil Kisi Ko Bataate Nahi Hain...

Apne Haal Per Kyu Karta Hai Malaal
Jo Ishq Karte Hain Woh Ghabraate Nahi Hain...



Badal gayi to

Badal gayi to kya hua..ke dil ka woh buri nahin
use yoon bad'dua na do...woh shakhs be wafa nahin
tere jahan main Khuda...bas aik hi kami rahi
jo lut gaya, basa nahin....jo kho gaya, mila nahin..!!!

hikayatain meri sabhi... na sun sakoge humnasheen
yeh dastan hai dard ki...yeh dil ka maajra nahin..
ajab hi khel rahe..nazar ke is dayaar main
jo ek bar gir gaya...to phir se woh utha nahin..!!!

na kholna yaha ke dar..ke dil nagar ajeeb hai
jo zakhm ban gaya yahan...woh umr bhar bhara nahin..
kiyon manzilain alag huyi? juda huye kyo rastay?
ya main ulajh gaya kahin...ya woh samajh saki nahin..!!!


baghair jiske

baghair jiske aik pal bhi kaatna muhaal tha
umar huwi ke uska ab..aaya koi salaam nahin
hathailiyon me aaj tak usi ka naam darj hai
main kaise maan loon bhala..? meri woh ab rahi nahin..!!!

nahin kaho ise bewayi...yeh bhi ek andaaz-e mohabbat hai
main toot kar bikhar gaya...magar tuzhe ilzaam kabhi diya nahin
khabar kya ho sake tuzhe...ke main hoon kis azaab me.
tu berukhi ki aag main..meri tarha jali nahin...!!!


sweetnaaz or sebi perdesi dostoke leye.!!

bahut roka khood ko fir bhi jazbaat rola gaye
mahsoos hota hai ke ham bahut door aagaye

faslon ki qaid main chope thy lamhe zindagi ke
waqt ki zanjeer se ham tu takraa gaye

dhoondty thy sahera main aarzo ka chaman
Kanton pe chalker pholon se zakham khaa gaye

pochty thy raaste bhi apne gher ka nisha
ajnabhi shaer main aake ham tu ghebra gaye

dard judayi ka hota hai kaya?
Faasle door kerke hame ye bata gaaye

ayi thi koi awaaz sonane dil ki sada
bol honton pe aake thar thara gaye

perdais ke es shaer main tha bebasi ka safer
Karwan ko chord ke ye kaha ham aagye

ro raha tha tersta howa her eak pal
haadse hame ye kaya dikha gaye

kat raha tha alfaaz bhi siskiun se
kah na pai ke ham khaa aagaye

kho ke aya tha kiya wo perdais se
Aansouo se bhre aarma use bata gaye bhut roka ham ne fir bhi jazbaat rola gaye

mahsoos hota hai ke ham bhut door aagaye..!!!






0 comments:

Post a Comment