Saturday, March 13, 2010

Main pal do pal ka

Main pal do pal ka shayar hu !
pal do pal mere kahani hai !

pal do pal mere hasti hai !
pal do pal mere jawani hai !

mujh se pahle kitne shayar !
aaye or aaker chale gaye !

kuch aahe bhar kar laut gaye !
kuch nagme gaakar chale gaye !

wo bhi ek pal ka kissa they !
main bhi ek pal ka kissa hu !

kal tumse juda ho jaaunga !
jo aaj tumhara hissa hu !

kal aur aayenge nagmo ki !
khilti kaliya chunne waale !

mujh se bahtar kahne waale!
tumse bahtar sunne waale!

kal koi mujh ko yaad kare !
kyo koi mujh ko yaad kare !

masroof zamana mere liye !
kyo waqt apna barbaad kare!

main pal do pal ka shayar hu !
pal do pal mere kahani hai !

pal do pal mere hasti hai !
pal do pal mere jawani hai !

Chalain Mohabbat


Chalain Mohabbat main yah Rah b Apna k dekhtey hain..
Kuch din os Bewafa ko bhula k dekhtey hain....

Har Dum jo Numm rehti hain Aankahin un ki yaad main..
Inn Aansoun ko kahin chupa k dekhtey hain..

Un ki Yaadian Un ki batain Fursat nahi detin.....
Khud ko kahin aur Uljha k dekhte hain....

Wo mera tha, Na mera hai, Na mera ho ga......
Bat yah phir se khud ko samjha k dekhtey hain....

Paagal kehta hai Zamana mujh ko teri chahat main.....
Fasana_e_Mohabbat Zamanay ko suna k dekhtey hain...

Dil ka faisla hai yah Zameer na manay ga......
Aaj iss Dil O Zameer ko lara k dekhtey hain.....

Baarha khud sey ker chukey aisey wadey ' RASHID '
Aaj phir khud se Dhokha kha k dekhtey hain....





0 comments:

Post a Comment