Saturday, March 13, 2010

Sochta hun...

Sochta hun kya likhun...
Socha dil ka haal likhun
Pr jo dil mein rehta hai
Ussey haal'e dil kya likhun!!!

Socha pyar ki baaten likhun
Pr jo khud pyar hai
Ussey pyar k baarey mein kya likhun!!

Socha zindgi ki kahani likhun
Pr jo khud zindgi hai
Ussey afsana'e zindgi kya likhun!!

Socha chund khushiyan likhun
Pr jo khud hr khushi hai
Ussey asbaab'e khushi kya likhun!!

Socha khwab likhun
Pr jo khud meri haqeeqat hai
Ussey daastaan'e shab kya likhun!!

Chalain Mohabbat main yah Rah b Apna k dekhtey hain..
Kuch din os Bewafa ko bhula k dekhtey hain....

Har Dum jo Numm rehti hain Aankahin un ki yaad main..
Inn Aansoun ko kahin chupa k dekhtey hain..

Un ki Yaadian Un ki batain Fursat nahi detin.....
Khud ko kahin aur Uljha k dekhte hain....

Wo mera tha, Na mera hai, Na mera ho ga......
Bat yah phir se khud ko samjha k dekhtey hain....

Paagal kehta hai Zamana mujh ko teri chahat main.....
Fasana_e_Mohabbat Zamanay ko suna k dekhtey hain...

Dil ka faisla hai yah Zameer na manay ga......
Aaj iss Dil O Zameer ko lara k dekhtey hain.....

Baarha khud sey ker chukey aisey wadey ' RASHID '
Aaj phir khud se Dhokha kha k dekhtey hain....


KhUsh

tUmhien Kya Weham hAi kyOun Raat Bhar Milney Nahi Aatien?
Aey Meri Neend Kii PariyO Main Us Ko BhOol Kar KhUsh hOn


MAR


YE MARNA YE KAFAN YE QABAR TO RASM-E-SHARIYAT
HAI.......MAR TU TAB GAYE THAY JUB HASRAT-E-ISHQ DIL MEIN JAAGI
THI.......!!!



Abhi woh dard baaqi hai...

Abhi woh dard baaqi hai...
Agarchey waqt marham hai
Magar kuch waqt lagta hai!
Kisi ko bhool jane mein
Dobara dil basaney mein
Abhi kuch waqt lagna hai!
Main kaise nayi ulfat mein
Apni zaat ko gum kr lun
K mere jism'o wajdaan mein
Abhi woh fard baaqi hai!
Abhi us shaks ki mujh pr
Nigaah'e sard baaqi hai!
Abhi to ishq k raston ki
Mujh pr Gard baaqi hai
Abhi woh dard baaqi hai!





0 comments:

Post a Comment