Wednesday, May 5, 2010

Tu Na Hogi
Tu Na Hogi Tou Tere Gham Ki Roshni Hogi,

Kali Kali Teri Yaadoun Ki Bikhri Chandni Hogi,

Meri Roh Mein Bas Chuki Hai Is Tarah Teri Jaan,

Sochte Hein Tere Baghair Aab Baser Yeh Kahan

Zindaghi Ho Ghi,

Hamesha Hi Tera Dard Mere Wajood Mein Pale Ga,

Mere Nafs Nafs Mein Teri Chahat Ki Tashangi Hogi,

Tumhare Siwa Aab Mein Kisi Or Ko Kese Chahounga,

Janta Houn Mein Ke Khushi Yeh Bhi Arzi Ki Chahat Mein

Shamil Koi Garz Teri Talb Teri Chahat Hi Meri Bandgi Hogi!
Tanha jis ko

Tanha jis ko choor k aaya hon janay wo kya karti hogi
Chup chup k wo roti hogi aur bhala kya karti hogi

Phalay pahl tu yaad nai uss ko aa kay khub sataya hoga
Neend na uss ko aati hogi aur bhala kya karti hogi

Dil kee baat kary wo kis say, kis ko haal sunati hogi
Gum-sum gum-sum bhaithe hogi aur bhala kya karti hogi

Zulfain uss ke bikhri hongi chahra b murjhaya hoga
Thandi aahain bharti hogi aur bhala kya karti hogi

Mushkil hoga uss ka jeena, bholi hogi khana peena
Aas kee maala bunti hogi aur bhala kya karti hogi

Khat jo maira aaya hoga dil sai ussay lagaya hoga
Sab sai chup k parhati hogi aur bhala kya karti hogi

Jaldi lout k aayon ga wada yehi kya tha mainay
Rah woh maire takti hogi aur bhala kya karti hogi


Baat Suno

Baat suuno dostoo
Jo bi dunia kehye
ous ko parkhye bina maan layna nehi
sari dunia yeh kehti hae
Parbaat par charnye ki nisbaat utarna bohat sehal hae
Kis tarha maan lain ?
Sarfarazi ki dhun mein
Koi aadmi jab bulandi k rastye chalta hae
toh baat tak karnye ko rukta nehi
aur oushi shakhas ko
umar ki siriyoon se utartye huye Paaoon uthta nehi
Iss liye Dostoo
jobi Dunia kehye
ous ko Parkhye bina jaan layna nehi
Sari dunia yeh kehti hae
aasal safar toh in aankhoon mein pheala huwa khawab hae
Kis tarha maan lain ?
tum ne dekha nehi
umar kiss searaab meib aajab khal hain
khawab toh khawab hain
hum khuli aankh se jo dekhtye hain woh hota nehi
Rabtye k liye Rastye ki tarha aadmi
apne khawaboon ko bi kaat dyta hae
lekin sulagta huwa rasta phir bi kaata nehi
Iss liye Dostoo
jo bi dunia kehye
ous ko parkhye bina maan layna nehi.


0 comments:

Post a Comment