DARD-E-FANA MEIN NAKSH-E-BAQA CHOR JAOUN GA
MEIN APNE BAAD APNI SADA CHOR JAOUN GA
HAIN OR BHI CHAMMAN MERI KHUSHBU K MUNTAZIR!
MEIN IS CHAMMAN KO MISL-E-SABA CHOR JAOUN GA
DOONGA HAR KALLI KO PAIGHAM -E-SHUGUFTAGI
GULSHAN MEIN EK HUSN-E-AADA CHOR JAOUN GA
LE JAOUN GA MEIN APNI WAFA BHI APNE SAATH
AUR UN K PASS YAAD-E-WAFA CHOR JAOUN GA
JO MERE DIL PE ZAKHAM LAGATE RAHE SADA
MEIN UN K WASTAY BHI DUA CHOR JAOUN GA....
Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai
Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte
Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe
Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak
Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai
Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai
Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai
Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha
Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha
0 comments:
Post a Comment