Wo khat ke puraze uraa rahaa thaa
havaaon kaa ruup dikhaa rahaa thaa
Kuchh aur bhi ho gayaa numaayaan
main apana likhaa mitaa rahaa thaa
Usii kaa imaan badal gayaa hai
kabhi jo meraa Khudaa rahaa thaa
Vo ek din ek ajanabi ko
meri kahaani sunaa rahaa thaa
Wo umr kar rahaa thaa meri
main saal apane bdhaa rahaa thaa.
Hijr ki dhoop me chhaon jesi baaten krtey hain!
Aansoo b to maaon jesi baaten krtey hain!
Rasta dekhne wali aankhon k anhoney gulaab!
Pyaas me b daryaaon jesi baaten krtey hain!
Khud ko bikhartey dekhtey hain,kuch kr nhi paatey!
Phir b log Khudaaon jesi baaten krtey hain!
Rang se khushbuon ka naata toot'ta jata hai!
Phool se log khizaaon jesi baaten krtey hain!
Dekho Kitne Majboor Hai Hum Apni Zindagi Se,
Roz Bulawa Bhejte Hai Maut Ko Aane ka,
Kehti Hai Dar Lagta Hai Mujhe Teri Zindagi Se...
0 comments:
Post a Comment