Sunday, April 25, 2010

Behar-e-ishq

behar-e-ishq main doob k daikh kabhi
jaam-e-mohabbat pee k daikh kabhi

her taraf tera hi aks nazar ayai ga
meri aankhon mein pyar say daikh kabhi

ghuror hay tujhey apni zulfon ki cha’aon ka
meri palkon ki chaon mein baith k daikh kabhi

kaisi hoti hay tapish zamanay ki nigahon mein
meray dil k aangun say bahar aa k daikh kabhi

kitni hoti hay mithas jazba-e-dar guzar main,
kisi rothay howay ko mana k tu daikh kabhi

kerti hay kaisay khushu gul say parwaz
ik bar mujh say door ja k daikh kabhi..........!!!

Door

Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge

Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khudh ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge

Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge

Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain “Ashk” mager
Har baat poorani kehdein ge..............!<>

0 comments:

Post a Comment