Sunday, April 25, 2010

Aangan

Mere aan'gan mein kabhi phool khila karte the...
meri ankhon mein bhi kuch khuaab basa karte thay...!

Mujh ko ha'laat ki aandhi ne giraya werna...
mere seene mein bhi kuch loog raha karte the...!

Hain mujhey yaad rafaqat ki woh gehrai'yaan ab bhi...
dil ki dharkan bhi teri saaf suna karte the...!

Aaj mehfiL mein woh aanjan Bane Baithe hein...
jo kabhi mujhey apni Jaan Kaha Karte the...!

Ab tarasti hein teri deedh ko aan'khein Mohsin...
ek zamana tha k hum Roz mila karte the.

Khuda

Khuda Ko Bhool Gaey Log Fikar-E-Rozi Main "Ghalib" Talash 'Rizk' Ki Hai "Raazik" Ka Khayal Nahi....!!


Guzarish

Meri tum se guzarish hai,

wafaoun ka bharm rakhna,

chale aana meri khatir,

sadaon ka bharm rakhna,

chiragh-e-jaan nahi bhujte,

hawa mayos hoti hai ,

usse aata nahi shayed,

hawaoun ka bharm rakhna,

mujhe mehfil mein logo ne humesha hunste daikha hai,

meri fitrat mein shamil hai aanaoun ka bharm rakhna.......

0 comments:

Post a Comment