Sunday, April 25, 2010

Chupa ker Dard


"sab se Chupa ker Dard jo woh Muskura diya....
us ki Hansi ne to aaj Mujhe Rula diya.....

Lehje se uth raha tha har ik Dard ka dhuaan...
Chehra bata raha tha us Shaask ne sub Ganwa diya...

Aawaz mein thahrao tha Aankhoon mein nami thi...
Or keh raha tha ke mein ne sab kuch Bhula diya....

Jane kia us ko logon se thi Shikayatein. ...
Tanhaiyon ke Des mein Khud ko Basa diya...

Khud bhi wo Hum se Bichar kar Adhura sa ho gaya....
mujh ko bhi itne Logon mein Tanha bana diya


Gale se Laga lo

Mujhay gale se Laga Lo Buhat Udaas Hoon Main
Gham-e-Jahan Se Churalo Bohat Udaas hoon Main

Ye Intezaar Ka Dukah Saha Nahi Jata
Tarap rahi hai Muahabbat Raha Nahi Jata
Tum Apne Pass Bula Lo Buhat Udass Hoon Main

Har Ek Sans Main milne Ki Pyass Palti Hai
Sulag raha Hai Badan or Rooh Jalti Hai
Bacha sako To Bachalo Buhat Udaas Hoon Main

Bhatak Chuka Hoon Buhat Zindagi ki rahoon main
Mujhay Ab Aa K Chupaalo Tum Apni Bahoon main
Mera Sawaal na Taaloo Buhat Udaas hoon Main.

Zakham

Zakhm-e-Tanhai Main Khushboo-e-Hina Kiski Thi

Saya Deewar Pey Mera Tha Sada Kiski Thi

Ansuon Se Hi Sahi Bhar Gaya Daaman Mera

Haath To Maine Uthaye They Dua Kiski Thi

Meri Aahoun Ki Zubaan Koi Samjhata Kaisey

Zindagi Itni Dukhi Mere Siva Kiski Thi

Chor Di Kiskey Liye Tunay sari Duniya

Justaju Si Tujhey Har Waqt Bata Kiski Thi

Uski Raftaar Main Lipti Rahi Meri Ankhaein

Usney Mur Kar Bhi Na Dekha Wafa Kiski Thi

Aag Say Dosti Us ki Thi Jala Ghar Mera

De Gaye Kis Ko Saza Aur Khata Kiski Thi...!

0 comments:

Post a Comment