Tuesday, March 2, 2010

MALIK NOKAR

Malik nokar se “jaldi se ja kar koi khali raksha le aao.” Nokar “wapis aa kar koi khali raksha milta hi nahi,har aik main aik admi zaror betha hota hay”.

BACHY MAN KAY SACHY

school main nomi ne Ahmad se poucha. “farz karo ……aik bohot barha darya hay……..darya ke aik kinare par hari hari gahns ka gattha parha hay dosre kinare par aik gadha khara hay.darya bohot gehra hay,gadha teher kar dosri taraf nahi ja sakta hay.wahan koi kashti bi nahi hay,batao gadha kis tarhan ghass tak pohnchy ga.Ahamad ne kafi dair socha or akhir har man li.gadhe ne bi yehi kaha tha nomi itmenan se bola.

molazim hotel manager se: “upar ka mosafir shakayat kar raha tha ke raat barish main chat se is kadar pani tapka ke who sir se paoun tak nahaya gya.” Manager “theek hay ,is ke bill main nahane ke paise bi shamil kar lo.”

Parosan

Pehli parosan, “beti aaj kya paka rehi ho? ”dosri parosan “daal” pehli parosan “lakin khusboo to morghi pakne ki aa rehi hay?” dosri parosan “jee han,pak to morgi hi rehi hay lakin aap hi to kahti hain ghar ki morgi daal barabar.”

Chor

Raat ke andhere main jab sab soo gye the,aik chor ghar main dakhil hoa,etafak se aik chote bache ki ankh khol gai. chor: “khabardar,agar chekhe to goli khani pare gi”. Bacha: “masomiat se jee main chocolate khata hun”.


Molvi

aik molvi “yaar meri bhens sokhi hoi ghass nahi khati or doodh bi nahi deti”. dosra molvi “bhens ko hara chashma pehnao,who sokhi ghass ko hara samaj kar kha jaye gi”.

Taim

sana “ammi aap mujhe time nahi detien”. Ammi “beta tumhein time chahye to puri ghari le lo,lakin roo mat”.

UStaad Shagird

Ustaad “tum itni dair se kune aye?” adal “janab mere upar se aik gari guzar gait thi”. ustaad “arye tum zinda kese bache” adal “janab main pull ke niche tha”.

Maan Beta

beta maan se, “ammi main yeh dawa nahi Pion ga” maan “kune” beta “kune ke is par lekha hoa hay ke tamam dawein bachon ki pohan se door rakhein”.

Jage Mulzim

jage mulzim se “tum ne aik raat main 5 gharon main chorian kar dalien?” mulzim “bachpan se hi mehnti hun”.

Dost

Aik bacha dosre se, “hatam tai pehle 10 logon ko khana kehlata hay,bad main khud khata hay.” dosra bacha,”is main keya barhi baat hay,mere abu to pehly 20 logon ko khana kehlate hain,bad main khud khate hain” pehla bacha, “woh keyon karte hain” dosra bacha, “woh aik hotel main vetor hain”.

0 comments:

Post a Comment