Monday, March 29, 2010

Amer UllahMarch 25, 2010 at 4:22am

(no subject)

Mera dard kaise wo janta...
mari bat kase wo manta...
wo tou khud fana k safar mai tha...
usy rokna bhi mahal tha...
kaha jao gay mujhe chor k...
mai ye puch puch k thak gia...
wo jawab mujh ko na dai saka...
wo tou kud sarapa sawal tha...
wo mila tou sadiyo k bad bhi...
mere lab pay koi gila na tha...


Amer UllahMarch 25, 2010 at 11:04am

(no subject)

Bhari mehfil mein tanha rehna acha lagta haiTere barey mein sochte rehna acha lagta hai
Kabhi pholon mein, kabhi kaliyon meinTujh ko hi dhoondhte rehna acha lagta hai
Meri zindgi ki khushiyan tumhi se hain wabastaRab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai
Tumharey baghair zindgi ka koi tasavur nahi haiKuch is tarah tum...hari tamanna karna acha lagta hai
Tum hi ko chaha,tum hi ko chahtey hainTumhi ko chahtey rehna acha lagta hai


usy mari chup ne rula dia........
jisay guftago mai kamal tha...
mare sath wo lag k ro dia...
mujhe bas wo itna khe saka...
jise janta tha mai zingadi...
wo tou sirf waham-o-kiyal tha...


Old WitnessMarch 25, 2010 at 11:17am

Subject: poetry of the day

Bichrty Waqt In Ankhon Ka Bhar Jana Zaroori Tha,
Tumhary Bin Mera Chup-Chaap Mar Jana Zaroori Tha.

Main Hans Kr Jhel Leta Dil Pe Sary War Qismat K,
Mujhy Be-Khabar Kar Dety Agar Jana Zaroori Tha.

Meri Ankhon Mein Apny Aks Ko Tum Dekh Na Paaye,
So Mera Be-Niazi Se Guzr Jana Zaroori Tha.

Main Jeevan K Safar Mein Hans K Sab Kuc...h Seh Gaya Lekin,,
Jo Tum Bichry To Phir Mera Bikhar Jana Zaroori Tha..

posted by Roshany khan

0 comments:

Post a Comment