Old WitnessMarch 28, 2010 at 12:10am
Subject: poetry of the day....
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
Kay Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain
Tum Hi Ne Humein Kar Dia Tanhaa
Warna Hum To Taluq Nibhae Huay Hein
Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte Hein
Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain
Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hein
Hum Karain Ab Kisi Per Kai...say Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hein
Sumaiya AliMarch 26, 2010 at 5:00pm
Subject: Mohabbat chhor daingay hum.....
Jisnay toray waaday jisnay tora dil,Jeena mushkil ho
Us bewafaa say ab har rishta tor daingey,
Mohabbat chhor daingay hum...!!
Mohabbat chhor daingay hum...!!
Mar jayengey par ab us ka naam nahi laingey,
Jisnay tora dil usay ilzaam nahi daingey,
Dil ki baton mei aa kar yeh dhokay khaye hain,
Ab apnay dil say hum koi kaam nahi laingey,
Us bewafaa say ab har rishta tor daingey,
Mohabbat chhor daingay hum...!!
Mohabbat chhor daingay hum.....
Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hein
Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain gay Hum
K Zamane Bhar Se Thukrai Hue Hain..........!
posted by Roshaney Khan
Rkr BillzMarch 27, 2010 at 12:46pm
Subject: (“GUZARISH”)
“Kabhi Naraz Mat Hona”
Gilay Chahy Bohat Karna
Rulana or Boht Larrna
Suno Naraz Mat Hona
Kabi Aisa Jo ho Jaye
K teri Yad se Ghafil Kisi Lamhe jo ho Jaon
Bina Dekhe Teri
Kisi Shab Main jo So Jaon
To Sapno Main Chale Aana
Mujy Ehsas Dila Jana
Suno Naraz Mat Hona.
Kabi Aisa jo ho Jaye
Jinhen kehna Zaruri ho
Wo Mujhse Lafz Kho Jayen
Anaa [...]
0 comments:
Post a Comment