Monday, March 1, 2010

Rashid Sheikh February 27 at 5:15pm Reply


Mar mitta hoon khayal par apne.
Wajd aata hai haal par apne.

Abhi mat dijiyon jawab k Mein.
Jhoom to loon sawal par apne.

Umar bhar apni aarzu ki hai.
Mar na jaon visaal par apne.

Ek ata hai Meri hawas nigahi.
Naz kar khad-o-khaal par apne.

Jane is dam wo kis ka mumkin ho.
Bais mat kar‘Muhaal par apne.

Tu B aakhir kamal ko poncha.
Mast hoon Mein‘Zawal par apne.

Bas yunhi Mera gaal rakhne de.
Meri jaan! Aaj gaal par apne.





(¯`v´¯)
`*.¸ .*´¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸ .•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•. RASHID SHEIKH

Immi Hashmi February 27 at 4:54pm Reply


Kissi ki dastan Ko lafzon mein kehte hai,
Na jaane Un pr ab kya guzarti hai !

Khushi ke aansu bhi gham ki tarah hute hai,
Har dil mein ik dard ki kahani bunti hai !

Ik shaiyr ki kalam dard ki zubani hoti hai,
Kalam har lafz ko joar kr likhiti hai !

Na jaane kyn likhne pe majboor ho jata hai,
Lagta hai jab dard sab hado se guzar jata !

Ye manzil sabko kissi na kissi ka dard sunati hai,
Ye anso aus k lafz ko u cheer ke jati hai !

Mano ye kahani ab hum sab pe laagu hoto hai,
Manzil ke safar mein app sab ka saath chalti hai ...........!

Immi Hashmi February 27 at 3:50pm Reply


♥Dil udaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do

Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do

Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do.......................>.!♥

0 comments:

Post a Comment