Monday, March 15, 2010

Afsos hai to bas isi baat ka….bas isi baat ka ..!!!!


Chodh chali ho tum yun
Jaise koch hua hi nahin..
Jaise tera mera koi rishta hi nahin..!!

Afsos tere jane ka nahin
Afsos he to is bat ka ke…
Kahin aisa na ho jab tum loat ke aao…
Tu muzhe waha na paao jaha chodh gaye the.!!
Kahin muzhe dhundte na reh jaao umr bhar ke liye
Bhatakte na reh jaao raho me….!!!

Mai ye nahin kehta ke….
Koi hamsafar hoga mera
Ya phir koi aur mera hoga…!!
Naah..Nahin aisa na hoga…
Kyo ke jaha teri jagah hai
Waha koi aa nahi sakta…
Is dil ko koi aur kabhi bha nahi sakta…!!
Main kabhi kisi aur ke maathe ko
kabhi chum nahi sakta..!!!!
Dar is baat ka hai ke
Kahin……
Tere aane se pehle…
Moat na lejaye muzhko…
Afsos hai to bas isi baat ka….bas isi baat ka ..!!!
 
 
Aj Phir Rat Tairi Yad Se Bojhal Guzri

Aj Phir Chand Mere Hal Pe Ghamgeen Raha
Aj Phir Dard Ki Shiddat Ne Mujhe Tor Diya
Aj Phir Shabnami Ankhon Ne Tairi Rah Taki


Mere Ash’ar Ki Duniya Hai Tujhi Se Mansoob
Meri Nazmon Mein Chhupa Gham Bhi Faqat Tera Hai
Tuu Abhi Tak Hai Miri Rooh Ki Pahnai Mein
Mere Ehsas -E- Muhabbat Mein, Takh’eel Ki Ranai Mein

Aj Phir Chand Mire Hal Pe Ghamgeen Raha
Aj Phir Dil Ne Kai Bar Sawalat Kiye
Aj Phir Main Ne Kai Bar Ise Samjhaya
“Jiski Ulfat Pe Tujhe Itna Yaqeen Tha Nadan!
Vo Kisi Khwab Mein Khoyi Hui Hogi Shayad
Vo Kahin Chain Se Soyi Hui Hogi Shayad!”

Aj Phir Rat Tairi Yad Se Bojhal Guzri
Aj Phir Chand Mere Hal Pe Ghamgeen Raha.
.!!

(¯`v´¯)
  Is khawab main khona bhi naheen hay..

Tahbir k dhage main prona bhi nahen hay..
Lipta hay mere dil se kisi khawab ki surat..
Woh shakhs k jis ko mera hona bhi nahen hay..
Rakhna hay sar_e_chashm ise sakat_o_jamd..
Pani main magar chand bhagona bhi nahen hay..
Har chand tere naksh_e_kaf pa main hay lekin..
Yeh dil kisi bache ka khilona bhi nahen hay..
Wabasta hay muj se k tu hay bhi k nahen hay..
Gar tu nahen muj main, tera hona bhi nahen hay..
Yeh ishq_o_mohabbat ki rawayat bhi ajab hay..
Paya nahen jis ko,use khona bhi nahen hay..
Jis shakhs ki khatir tera yeh haal hay..
Is ne tere mar jane pe rona bhi nahen hay..
 

0 comments:

Post a Comment