Tuesday, February 23, 2010

ussay apni ferda ki fikar thi jo mera waqfi-e-hal tha
woh jo uski subh-e-urooj thi wohee mera waqt-e-zawal tha.

meri baat kaisay woh janta meri baat kaisay woh manta
woh to khud fana ke safar mein tha usay rokna hee mahal tha.

jo uske paas aagaya wohee roshni mein naha gaya
ajab uska haibt-e-husn tha ajab uska rang-e-jamal tha.

mujhay chor ker kahan jaao gay mein pooch pooch ker thak gayi
woh mujhko jawab tuk na de suka woh to khud sarapa sawal tha.

barson baad mila bhi to merey lab per koi gilla na tha
meri chup ne usay rula diya jissay guftugu mein kamal tha.

merey galay se lag ke ro diya bus faqat woh itna keh suka
jisay janta tha mein zindagi woh sirf wehm-o-khayal tha.

0 comments:

Post a Comment