Monday, May 3, 2010

Ghazal Tere Naam

Aaj Phir Koi Ghazal Tere Naam Na Ho Jai Kahin Likhte Likhte Shaam Na Ho Jai Kar Raha Hoon Intizar Tere Izhar e Mohabat Ka Kahin Is Intizar Mein Meri Zindagi Tamaam Na Ho Jai Nahi Laina Tera Naam Sar-E-Aam Is Dar Se Kahin Tera Naam Badnaam Na Ho Jai Sochta Hoon Darta Hoon Aksar Tanhai Mein Kahin Judai Mere Payaar Ka Anjaam Na Ho JaiNahin Nikaltay Apne Dil Ko Tere Dil Se Kahin Tere Dil Me Kisi Or Ka Muqaam Na Ho Jai.....


Chalo

!!~Chalo aisa krain mil k sitary baant lety hain

Zarurat k motabik sahary baant lety hain

Muhabat krne walon ki tijarat b anokhi hy

Munafa chor dety hain khasaray baant lety hain

Agr milna nhi mumkin to lehron pr kadam rakh kr

Abi
Dariya-e-Ulfat
k kinary baant lety hain

Meri jholi me jitny b wafa k phol hain inko

ikhathy baith kr sary baant lety hain

khuloos k Elawa paas apny kuch nahi 'mohsin'

isi dolat ko hum qismat k maary baant lety hain...

0 comments:

Post a Comment