Tuesday, April 20, 2010

Zaalim

Itne zaalim na Bano kuch tou Murravat seekho "Amer''...

Tum pe marte hain, To Kya maar he dalo gay ?



Us ne Sukuut
Us ne sukuut-e-shab men bhi apanaa payaam rakh diyaa
Hijr ki raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa

Aamad-e-dost ki navid kuu-e-vafaa men aam thi
Main ne bhi ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa

Dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hain
Main ne to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diyaa

Us ne nazar nazar men hi aise bhale suKhan kahe
Main ne to us ke paanon men saaraa kalaam rakh diyaa

Shiddat-e-tishnagi men bhi Gairat-e-maikashi rahi
Us ne jo pher li nazar main ne bhi jaam rakh diya
Saamne
TU JAB MERE SAAMNE HOTI HAI,
TAB MAI KHUD KO BHOOL JAATA HU,
KYA KAHU MAI TERI KUBSURTI KA AALAM,
KE HAR AINE ME MAINE SIRF TUJH KO HI PAATA HUN………..!
Ghum
kuch log youn he dil mein utar jate hein
kuch log youn he ghum day jate hein
zindagi jab mazak karti hai hum se
tu sara shar tamasahi ban jata hai
mohabbat youn he ho jate hai lakin
wafa ka afsana ban jata hai
har kise ko pane ki tamana na kar ayy dost
waqt ki dhool mein tamaein bhi met jati hai



0 comments:

Post a Comment