Tuesday, April 13, 2010

Amer Ullah April 9 at 1:46pm Reply

Ab hay khushi khushi main na gham hay malaal main
Dunya se kho gaya hon tumharay khayal main

Mujhe ko na apna hosh na dunya ka hosh hay
Mast ho k baitha hon tumharay khayal main

Taaron se poch lo meri rudaad-e-zindigi
Raton ko jagta hon tumharay khayal main

Dunya ko ilm kya hay zamanay ko kya khabar
Dunya bhula chuka hon tumharay khayal main

Dunya khari hay muntazir-e-naghma-e-aalam
Behzad chup kharay hain kisi k khayal main...!!


Rashid Sheikh April 7 at 4:04pm Reply

banjaare hain rishton ki tijaarat nahin karte
hum log dikhaawe ki mohabbat nahin karte...

unme jo anaa hai to ho, khuddar hain hum bhi
samjhaute jo karte hain, mohabbat nahin karte

toofaan se ladne kaa salikaa hai zaroori
hum doobne waalon ki himaayat nahin karte

milna hai to aa jeet le maidaan mein humko
hum apne kabeele se bagawat nahin karte

palkon pe sitaare hain naa shabnam hai naa jugnoo
is tarah to dushman ko bhi rukhsat nahin karte

har simt bade logon ki iq bheed hai mazhab
hum itne khudaaon ki ibadat nahin karte

banjaare hain rishton ki tijaarat nahin karte
hum log dikhaawe ki mohabbat nahin karte...


Rashid Sheikh April 7 at 4:10pm Reply


Tute dile se phucho dard kya hota hai,
Koi pass hokar bhi dur jab hota hai
Hum nahi kehta ke us ka kusur hai
Kasoor apna tha Esliya dil majboor hota hai.

Aakhen kholu to chehra tumhara ho,
Band karu to sapna tumhara ho,
Maar bhi jau to koi gham nahi,
Agar kafan ke badle anchal tumhara ho.

Tanhaai me jab beete lamho ki yaad aati hai,
Kya kahen jism se jaan chali jaati hai,
Yun to unki berukhi yaad hai humein,
Per aankhe band kare to surat unki nazar aati hai.

Dhalti raat ka khula ehsas hai,
Mere dil me teri jagah kuch khas hai,
Tum nahi ho yahan mujhe malum hai,
Par dil kahta hai ki tu dil ke paas hai.

Mere chehre se utha do kafan,
Mujhe aadat hai muskurane ki.
Meri laash abhi mat jalana,
Mujhe umeed hai unke aane ki.



0 comments:

Post a Comment