Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde
Use Mera Ya Mujhe Uska Karde
Bahut Dukh Sahe He Maine
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna
Judai Ke Safar Ko Kum Karde
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse
Use Utna Kareeb Karde
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam
To Khatam Kar Ye Zindagi Aur Mujhe FANAA Karde
Dum toot chuka fir bhi ab tak dar pe hai nazar diwaane ki
pathraai hui aankhon mein hai ummeed kisi ke aane ki...
Tu saamne hai fir bhi saaki pyaasi nazarein hai kyon pyaasi
zulfon ko hata palkon ko utha kar baat koi maikhaane ki...
Mitti se bana khaakon se chhana ban kar aaya pahuncha lab tak
subaho hui toota gir kar roodad hai ye paimaane ki...
Jiski khaatir darvesh hua ghar phoonk diya chhodi dunia
jab wohi nahin hua apna kya poocho baat zamaane ki...
0 comments:
Post a Comment