Sunday, April 11, 2010

Amer Ullah April 9 at 1:46pm Reply

Ab hay khushi khushi main na gham hay malaal main
Dunya se kho gaya hon tumharay khayal main

Mujhe ko na apna hosh na dunya ka hosh hay
Mast ho k baitha hon tumharay khayal main

Taaron se poch lo meri rudaad-e-zindigi
Raton ko jagta hon tumharay khayal main

Dunya ko ilm kya hay zamanay ko kya khabar
Dunya bhula chuka hon tumharay khayal main

Dunya khari hay muntazir-e-naghma-e-aalam
Behzad chup kharay hain kisi k khayal main...!!


Fakhar Ahmed April 9 at 3:34pm Reply

~*~Hum Tu Bachpan Main Bhi Akele Thay~*~

~*~Sirf Dil Ki Gali Main Khaile Thay~*~

~*~Ek Taraf Moorchay Thay Palkoon K~*~

~*~Ek Taraf Ansoo K Reelay Thay~*~

~*~Thi Sajii Hasratain Dukanoo Par~*~

~*~Zindagi K Ajeeb Mele Thay~*~

~*~Khud Kashi Kia Dhukoo Ka Hal Banti~*~

~*~Mout K Apne Soo Jhamale Thay~*~

~*~Zehan-O-Dil Bhi Ajj Bhookay Marte Hain~*~

~*~Un Dino Humne Faakay Jhelay Thay~*~

0 comments:

Post a Comment