Meri Ghazal
Meri ghazal ka unwaan pochtay hain log!
DiL main kon rehta hai naam pochtay hain log,
Chor kar chala gaya mujhko akela shehr main,
Kitnay main hain bikk gaya daam pochtay hain log,
Main sangDiL tha ya wo harjaii,
Ek yehi baat sar-e-aam pochtay hain log,
Kal kya hoga mujay khud khabar nahi....
Meri Mohabbat ka anjaam pochtay hain log......
Lakin main
haqiqat ko na jani
kaisi khata kar bethi jo
dil mein tujhay basa bethi jo
tum ko apna jan liya
lakin...
tum khushboo thay aur main hawa
khushboo aur hawa ka sangamm
akhir mein bas itna thehra..
khushboo hawa kay sath rahay
chand lamhay sath day
lakin phir...
apni khushi say
apni manzil ki taraf murrh jaey
hawa say nata torr jaey
aur akaila chorr jaey.
MAA
Ab kaisi parda daari, khabar aam ho chuki
Maa ki rida to din huye neelam ho chuki
Ab aasmaan se chaadar-e shab aaye bhi to kya
Be'chaadari zameen pe ilzaam ho chuki
UjRe huye dayaar pe phir kyun nigaah hai
Is kisht pe to baarish-e ikraam ho chuki
Sooraj bhi us ko dhoond ke waapas chala gaya
Ab hum bhi ghar ko laut chalain shaam ho chuki
Shimle sanbhaalte hi rahe maslehat pasand
Hona tha jis ko pyaar ma bad'naam ho chuki
Aankhain hain aur subha talak tera intezaar
Mishal ba'dast raat tere naam ho chuki
0 comments:
Post a Comment