Monday, March 29, 2010

Awara Mizaj


To Yeh Kiyon bhala??
Yeh jo Hont hain Saf-e-Dostaan mein sile hoye
To Yeh kis liye??

Yeh jo Iztraab Racha hua hai……wajood mein
To Yeh Q bhala??
Yeh jo Sang sa koi Aa Gira hai….Jamood mein
To Yeh kis liye??

Yeh jo DIL mein dard Charha hoa hai Lateef sa
To Yeh kab se hai??
Yeh jo Put'liyon mein hai Aqs koi…….khafeef sa
To Yeh kab sy hai??

Yeh jo Aankh mein……Baraf See hai Kab se Jammi hoi
To Yeh kis liye??
Yeh jo doston mein nayi nayi si hai KAMMI hoi
Tu yeh kiyun bhala??

YEH JO LOOG………… PEECHE PARE HOWE HEIN…
……………….”FAZOOOL MAIN”………………………

UNHE KIA KHABER, UNHE KIA PATA??
“KISSI RAH K….KISSI MOOR….PER UNHE ZARA….”

KABHIE ISHQ HO TO…… PATA CHALE.........!!

------------------------------------------------------------------

{AWARA MIZAJ}


Sitam JAGTE hain, KARAM So Rahe hain
Mohabat k JAH-O-HASHAM so rahe hain

Mery NUKTA SAZO ! Sukhan k KHUDAOO!
Pukaro…! K LOH-O-QALAM so rahe hain

Her ik ZEHAN mein hai KHUDAAI ka Daawa
Her ik Aasteen mein SANAM so rahe hain

Yahan Khawab-E- Rahat Faraib-e-Yaqeen hai
Na TUM so rahe ho na HUM so rahe hain

Wahan Chandni k Qadam Dolte hain
Jahan tere Naqsh-E-Qadam so rahe hain

Takhayyul mein hain Gieso’oon k Ba'haane
Nigahon mein "RANGEEN BHARAM" So rahe hain

Meri Ujjdi Ujjdi See Aankhon mein "SAGAR"
Zamany k RANG-O-Alam so rahe hain.


0 comments:

Post a Comment