Wednesday, March 24, 2010

(Kwahish ( An uncomplete Dream ).

Kuch aise log bhi miltey hain jo hamesha yaad aatey hain Laikin woh raah badalte hain apni aur mur kar haath hilatey hain, Laikin woh dilon ko

yaadon ki khushbu ban kar mehkaatey hain Aise hi safar karte karte ik HAMSAFAR mila hum ko bhi kahin, Duniya mein acchey log bohot magar


us ki si baat nahin Woh dheemey lehje wala tha aur woh dheerey se hansta tha, Jitne bhi log miley hum ko sach jano sab se accha tha Thi


laag na us k bolon mein ki baat na koi lagawat ki, Us k fiqrey tootey tootey se us ki aankhien khoi khoi sien Keh kar hi na de jo hum chahien


socha hi kare betha betha, Per dekhey aisi narmi se ik baar to hojaye dhoka Go saath hamara khoob raha us ko howi pehchaan bohot, Gar


boojh le dil ki baat kabhi hojata tha heraan bohot Aur hum us ki heraani per sharminda ho kar reh jaatey, Kuch aur hamara matlab tha phir dair


talak yeh samjhatey Ab chehra us ka ujla ho ya aankhien us ki hoon gehri, Ya us k pyaare honto ki har baat lagey thehri thehri Kuch log jo


acche hote hain aur raahon mein mil jaatey hain, Hain in ko kaam bohot kab apna waqt ganwate hain KAB PYAASE PYAASE REHTE HAIN KAB JEE KO ROG LAGATE HAIN........

0 comments:

Post a Comment