Monday, March 29, 2010

New Poetry

kiya pochtay ho kay kaisa hon,
ek sard hawa ka jhonka hon,
hay mere rooh main be-chaini,
main apnay aap main uljha hon,
hay mera saya aur koe,
main aur kise ka saya hon,
to khush hay apni duniya main,
main tere yaad main jalta hon,
ab loat kay aa aur dekh zara,
ek umr se tanha tanha hon,


New Poetry

Tujhy Chor Bhi Nahi Sakty Na tujhe chorr sakta hain tere ho bhi nahi saktay
yeh kaisi bebasi hai aaj hum roo bhi nahi sektay...

yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rekhta hai
tumhari yaad aati hai tu phir soo bhi nahi sektay...

chupa sakte hain aur na dekha saktay hain logon ko
kuch aise daagh hain dil per jo hum dho b...hi nahi saktay...

kaha tu tha chor denge yeh nagar phir rukh gaye lekin
tumhain paa tu nahi saktay magar kho bhi nahi sektay...

humara aik hona bhi nahi mumkin raha abh tu
Tanha tum se door ab hum reh bhi nahi sektay...

0 comments:

Post a Comment